Pakistan bhar mein City to City rides apni marzi ki qeemat par
Ride book karein aur paise bachayein
Trip plan kar rahe hain? inDrive.City to City azmayein!
Explore hundreds of intercity routes. Suggest your price and choose one of our verified drivers
- 1105shehar
- 47mumalik
- 400mln app installs
Shuru karein
- 1
inDrive download karein
Apna phone number darj karein aur code ke saath is ki tasdiq karein
- 2
City to City kholein
Side menu mein City to City muntakhib karein aur request form pur karein.
- 3
Apna kiraya offer karein
Zyada tar routes par tajweez karda qeemat di jati hai. Drivers apki offer qabool kar sakte hain ya apni qeemat tajweez kar sakte hain.
- 4
Driver aur car muntakhib karein
Kiraye, driver ki rating, gari ki tafseelat aur reviews dekh kar offers mein se apni pasand ki offer chunnein. Munasib offer qabool karein aur ride ki tafseelat final karne ke liye call ya chat feature ke zariye driver se raabta karein.
Ap hamare saath mehfooz hain
Rating system
Har ride ke baad musafir drivers ko rating dete hain. Ap doosre musafiron ke reviews ki buniyad par apni pasand ka driver muntakhib kar sakte hain
Lazmi jaanch
inDrive par ride ki requests qabool karne se pehle har driver ki jaanch partaal ki jati hai.
Hifazati button
Kisi hungami soorat-e-haal mein hifazati button istemal kar ke police ya deegar emergency services se foran rabta karein.
inDrive mobile app download karein aur aj hi apni pehli ride lein.
Mashhoor raaste
Pakistan mein transport
Taxi
Intercity taxi ke liye rawangi se pehle pickup point, manzil, kiraya aur kisi bhi izafi charges ki tasdeeq kar lein. Taxi ki dastiyabi, gari ka size aur booking ki sharait service provider par munhasir hoti hain. Sirf shuru mein bataye gaye kiraye ke bajaye safar ke tamam intizamaat ka mawazna karein.
Bus
Pakistan mein intercity coaches ki rawangi ke liye muqarrar jaghein hoti hain. Dastiyab services ka mawazna karein aur terminal, saman le jane ki sharait aur utarne ke stop ki tasdeeq kar lein. Agar apki manzil terminal se door hai, to wahan tak pohanchne ke liye apko alag transport ka intezam karna hoga.
Train
Pakistan mein passenger trains ek station se doosre station tak safar ki sahulat faraham karti hain. Rawangi ka waqt, travel classes aur raste mein stops ka inhisar muntakhib train par hota hai. Booking se pehle route aur tickets ki mojooda dastiyabi check karein. Phir rawangi ke station tak pohanchne aur manzil par station se aage jane ke liye transport ka intezam kar lein.
inDrive.City to City kyun chunnein?
Apni marzi ki qeemat par rides lein
Apni marzi ka kiraya offer karein ya drivers ki offers mein se behtareen offer chunnein.
Apko kaun drive karega, khud chunnein.
Driver ki rating, reviews aur gaari dekh kar apni pasand ka driver muntakhib karein
Jab apko munasib lage, tab rawana hon
Apni marzi se rawangi ka waqt chunnein. Hum apke schedule ke mutabiq chalte hain.
Door to door
Hum apko apki pasand ki jagah se pick karte hain aur bina gari badle seedha apki manzil tak pohanchate hain.
Safar ke dauran hifazat
99.99% rides bina kisi haadse ke mukammal hoti hain
Aksar poochay jane wale sawalat
inDrive.City to City kya hai?
Main apni marzi ka kiraya kaise offer kar sakta hoon?
Main pehli baar is route par safar kar raha hoon — mujhe kitna kiraya offer karna chahiye?
Main City to City ride ka kiraya kaise ada kar sakta hoon?
Mujhe drivers ki offers kitni der mein milengi?
Main driver ko call kaise kar sakta hoon?
Kya main apne saath saman le ja sakta hoon?
Main ride kaise cancel kar sakta hoon?
Kya inDrive apne drivers ki jaanch karta hai?
• Aap ki umar kam az kam 25 saal honi chahiye.
• Kisi bhi qism ki mini bus ke driver ke paas transport license hona zaroori hai.